Yeh arzoo thi tujhe gul
ke ru-ba-ru karte,
Hum aur bul_bul-e-betaab guftagu karte...
Payam bar na mayasar hua
to Khoob hua,
Zaban-e-Gair se kya shar
ki aarzu karte...
Meri tarah se maah-o-mhar
bhi hain aavaaraa,
Kisi habib ko ye bhi
hain justaju karte...
Jo dekhate teri
zanjeer-e-zulf kaa alam,
aser hone ke aazad arazuu
karte...
Na pooch aalam-e-bargashtaa
tali-e-'Aatish',
Barasati aag main jo
baaran ki arazu karte..
By: Haider Ali Aatish
کوئی تبصرے نہیں:
ایک تبصرہ شائع کریں